MAA KI ZINDGI
Har us maa ko naman
hai, jisne badhaya hai hame
Har us maa ko naman
hai, jisne sahara diya hai hame
Maa ki jagah koi nahi
le sakta
Har un maao ko salam
jisne har bacche ko apna samjha ho
Bhale hi kitne bhi dukh
me ho, vyakt kabhi na karti vo
Bhale hi ander se ghut
rahi ho, fir bhi muskan dhikati vo
Kabhi khud ke bare me
na sochti ho
Sabko khush
rakhte-rakhte khud ko bhul si jati ho tum
Hamesha aashirwad deti
ho tum
Kabhi galat na sochti
ho tum
Galat marg se sahi marg
par lana janti ho tum
Sabki icchaye puri
karti ho tum
Jab galat ho raha hai,
to sath khadi hoti ho tum
Jab koi na hota hai
hamare pas tab tum hoti ho
Sabki khushiya dekhte-dekhte khud ko bhul si jati
ho tum
Tumhare jaisa kisi ko
na banaya
Tum hi shrishti ki
karta dharta ho
Tum jio hazaro saal
Har maa ko lambi umar
de bhagwan
Sabki maa ko salamat
rakhe bhagwan.
Nice Poem ๐
ReplyDeleteAswm
ReplyDelete